Mujhe marne ka khauf nahi
na hi jeene ki talab rahi ab
mein wo pathar hu jo ashkon mein tabasum ghol ke hasta hai..
meri zindagi mein na hasne ki khushi na rone ka gum
mein wo gulaab hu jo kaaton di gayi peeda se mehakta hai..
har kisi ko muqamal janhan nahi milta
mohabbt ka gulaab kichad mein nahi khilta
mere kuch pal ke humsafar se humnawayi na mili
wo chale toh gayi par uski yaadon se rihayi na mili..
sar par dhoop thi pairo ke niche jalti hui zameen mili
fir bhi usse paane ki khwahish-ta-umra musalsal safar mein rahi
parchayi ne saath chhod diya mere
magar umeed besharmi se muntazir rahi
meri manzil ne mera raaston ko khudse door mod diya
jisse dil mein rakha tha usi ne mera dil tod diya
tujhse koi sikwa nahi mere maula
magar reza-reza khawab meri ankhon ko dard ka dariya bana rahein hein
koi raah hai na koi reh guzar
bas ek chhota sa khushiyon ka ashiyana tasavoor mein rehta tha
or wo hi na bann paya mera ghar..
hatheli par tanhyi ki lakiron ne dera daal rakha hai
humne apne zakhmon par ansu se bheega roomal rakha hai
wafa ki wafai par aitbaar nahi rehta`
abto apni saanson ka bhi aitbaar nahi rehta
mere khayalon ki faza mein sirf wo rehti hai
aakhir usse bhulau kaise
ya fir apni bahon ke ghere mein wapis bulau kaise..
rab ne na jaane kya likha hai meri taqdeer ke afsaane mein
mera dum ghoot-ta hai khushboo-e-yaad ke virane mein
kaash thoda sa sabra mil jaye jisse mohabbt ki baarish ho wo abra mil jaye
meri nazarein jo bina palkein jhapkaye ghanto use tak-taki lagakar dekha karti thi ..
ab mujhse khafa khafa si rehti hai
jin sawaalon ke jawab keval waqt ke pass hai,skasar mujhse puchha karti hai
jharne ke paani mein uske payal ki jhankaar kyo sunayi deti hai
isliye,na hi jeene ki talab rahi ab
mein wo pathar hu jo ashkon mein tabasum ghol ke hasta hai..
meri zindagi mein na hasne ki khushi na rone ka gum
mein wo gulaab hu jo kaaton di gayi peeda se mehakta hai..
are aasmaan ke saaton rang mein sirf ek wo hi kyo dikhayi deti hai
aisa lagta hai maano jaise sitaron ne chand ko kured kar,apne badan pe mal liya ho
or malte waqt ek boond chand chalak jata hai..
mere halat bhi kuch aise hi hai
palkon ne gumo ka bojh utha rakha hai
tanhayi ne subkiyon ko seene se laga rakha hai..
judayi ka ye lamha khatam nahi hota
jaane kyon ye dard kam nahi hota
jismo ke zakhmo ka marham to mil sakta hai
magar rooh par chot ke dawa kanha se laaye hum
akhir koi toh batlaye jaaye toh kanha jatye hum
sab kuch fana hogya mera..wo apna saaya de gaya
ek shaksh khud to rukshat hua meri shaksiya bhi legaya
ab kuch nahi bacha mere paas ab zinda laash hogya hu
janha bhi jata hu dard ki baraat saath le chalta hu
Comments
Post a Comment